suhag raat ki pehli raat Urdu book
suhag raat ki pehli raat Urdu book ,
Shadi karna sunnat hai aur islam ka ek hissa hai. Isliye har insan ko shadi karna chahiye. Bagher kisi jaiz wajah ke agar koi shaadi nahi kar raha ya der se kar raha hai to ye islam ke khilaf hai. Jin logo ki shadi honewali hoti hai, unme se bahut se logo ke dimaag mein kuch sawal hote hain ki islam ke hisab se shaadi ke baad ki pehli raat ko kya karna chahiye, Ya iska sahi tarika kya hai. Hum yaha pehli raat ki kuch baat karenge, lekin ye baat sirf islam sikhne ki niyat se padhiye, Dil mein kuch gandagi na rakhiye aur na koi galat comment karna. Hamara maksad sirf un logo ko islam ka tarika batana hai jinko is baare mein maalumaat kam hai.
Shaadi ke baad jab ladka room mein jaaye to sabse pahle salam kare, kheriyat maalum kare aur thodi baat karne ke baad ladki ki peshani (forehead) ke baal sidhe haath ahista se pakadiye aur ye dua padhe. Hadees dekhiye, Hazrat Muhammad (sallallaho alayhi wasallam) ne irshad farmaya: Jab koi shaks nikah kare aur pehli raat (suhag raat) ko apni dulhan ke paas jaye to narmi ke sath uski peshani ke thode se baal apne sidhe hath me le kar yah duwa padhe Tarzuma: Aye Allah me tujse iski (apni biwi ki) bhalai aur khairo barkat mangta hu aur uski fitari aadato ki bhalai aur teri panah chahta hu iski burai aur fitari aadato ki burai se.